main is gulistan ki patti patti KHizan ke panjon mein dekhta hun

main is gulistan ki patti patti KHizan ke panjon mein dekhta hun
Bismil Dehlavi
MORE BYBismil Dehlavi
maiñ is gulistāñ kī pattī pattī ḳhizāñ ke panjoñ meñ dekhtā huuñ
kahāñ ikaTThe kiye haiñ tinke kahāñ nasheman banā rahā huuñ
haqīqat-e-kā.enāt kyā hai samajh chukā huuñ samajh gayā huuñ
abhī se kāfir badal ga.ī hai abhī to sāġhar uThā rahā huuñ
ḳhudā kī ye zar-parast duniyā murādif-e-chashm-e-tang-dil hai
ye ehtimām-e-sharāb-e-rangīñ ik aur duniyā banā rahā huuñ
ye barkat-e-be-ḳhudī-e-kāmil are ḳhudā kī panāh saaqī
sharāb kā ek jur'a pī kar tamām 'ālam pe chhā gayā huuñ
ba-e'tibār-e-nigāh-e-baḳhshish tabāh-e-jām-e-sharāb huuñ maiñ
mujhe samajhnā nahīñ hai āsāñ maiñ zill-e-rahmat meñ aa gayā huuñ
mirā tasavvur asīr-e-sahbā mirā taḳhayyul rahīn-e-sāġhar
maiñ sū-e-kā’ba bhī gar chalā huuñ to laḌkhaḌātā huā chalā huuñ
maiñ sar-ba-sajda huuñ un ke dar par vo hichkichā kar uThā rahe haiñ
ye merī laġhzish hasīn laġhzish sharāb pī kar kahāñ girā huuñ
maiñ ek dariyā-e-be-karāñ huuñ magar ba-chashm-e-'itāb-e-sāqī
asīr-e-zindān-e-jism ho kar had-e-ta’ayyun meñ aa gayā huuñ
zarā ḳhabar to ho mai-kashoñ ko hai kitnā zarf-e-nigāh-e-rahmat
piyāla muñh se lagā ke 'bismil' maiñ aaj sū-e-haram chalā huuñ
main is gulistan ki patti patti KHizan ke panjon mein dekhta hun
kahan ikaTThe kiye hain tinke kahan nasheman bana raha hun
haqiqat-e-kaenat kya hai samajh chuka hun samajh gaya hun
abhi se kafir badal gai hai abhi to saghar uTha raha hun
KHuda ki ye zar-parast duniya muradif-e-chashm-e-tang-dil hai
ye ehtimam-e-sharab-e-rangin ek aur duniya bana raha hun
ye barkat-e-be-KHudi-e-kaamil are KHuda ki panah saqi
sharab ka ek jur'a pi kar tamam 'alam pe chha gaya hun
ba-e'tibar-e-nigah-e-baKHshish tabah-e-jam-e-sharab hun main
mujhe samajhna nahin hai aasan main zill-e-rahmat mein aa gaya hun
mera tasawwur asir-e-sahba mera taKHayyul rahin-e-saghar
main su-e-ka’ba bhi gar chala hun to laDkhaData hua chala hun
main sar-ba-sajda hun un ke dar par wo hichkicha kar uTha rahe hain
ye meri laghzish hasin laghzish sharab pi kar kahan gira hun
main ek dariya-e-be-karan hun magar ba-chashm-e-'itab-e-saqi
asir-e-zindan-e-jism ho kar had-e-ta’ayyun mein aa gaya hun
zara KHabar to ho mai-kashon ko hai kitna zarf-e-nigah-e-rahmat
piyala munh se laga ke 'bismil' main aaj su-e-haram chala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.