Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main isi KHak se hun ghar bhi isi KHak mein hai

Yawar Warsi

main isi KHak se hun ghar bhi isi KHak mein hai

Yawar Warsi

MORE BYYawar Warsi

    maiñ isī ḳhaak se huuñ ghar bhī isī ḳhaak meñ hai

    merī parvāz magar vus.at-e-aflāk meñ hai

    kyā lagā.egā mire tāj-e-junūñ qīmat

    kyā ba-juz sang-o-ḳhazaf dāman-e-idrāk meñ hai

    abr ko aag bujhāne se jo baḌh kar roke

    itnī parvāz kahāñ sho.ala-e-saffāk meñ hai

    chāhiye nahīñ mujh ko koī shāhāna libās

    merī izzat isī pairāhan-e-sad-chāk meñ hai

    sādgī ne mujhe rakkhā na kahīñ varna

    chāñd tāroñ jahāñ bhī mirī imlāk meñ hai

    qaid kamre meñ rahūñ kisī maidāñ meñ rahūñ

    aisā lagtā hai mujhe koī mirī taak meñ hai

    jis ke hone pe nahīñ miltā hai dariyā mizāj

    itnā paanī to mire dīda-e-namnāk meñ hai

    apne dāman se chhuḌāyā thā kabhī ne jise

    phir vahī rang numāyāñ tirī poshāk meñ hai

    kyā koī la.al-e-badaḳhshāñ bhī chhupā hai 'yāvar'

    raushnī kis liye itnī ḳhas-o-ḳhāshāk meñ hai

    main isi KHak se hun ghar bhi isi KHak mein hai

    meri parwaz magar wusat-e-aflak mein hai

    kya lagaega mere taj-e-junun ki qimat

    kya ba-juz sang-o-KHazaf daman-e-idrak mein hai

    abr ko aag bujhane se jo baDh kar roke

    itni parwaz kahan shoala-e-saffak mein hai

    chahiye hi nahin mujh ko koi shahana libas

    meri izzat isi pairahan-e-sad-chaak mein hai

    sadgi ne mujhe rakkha na kahin ka warna

    chand taron ka jahan bhi meri imlak mein hai

    qaid kamre mein rahun ya kisi maidan mein rahun

    aisa lagta hai mujhe koi meri tak mein hai

    jis ke hone pe nahin milta hai dariya ka mizaj

    itna pani to mere dida-e-namnak mein hai

    apne daman se chhuDaya tha kabhi tu ne jise

    phir wahi rang numayan teri poshak mein hai

    kya koi lal-e-badaKHshan bhi chhupa hai 'yawar'

    raushni kis liye itni KHas-o-KHashak mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now