aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jis ko bhul jaane ka irada kar raha hun

Waqar Manvi

main jis ko bhul jaane ka irada kar raha hun

Waqar Manvi

MORE BYWaqar Manvi

    maiñ jis ko bhuul jaane irāda kar rahā huuñ

    usī ko yaad pahle se ziyāda kar rahā huuñ

    hai ye bhī dūsroñ ko pyaas ehsās shāyad

    suhānī rut hai aur maiñ tark-e-bāda kar rahā huuñ

    mubārak ho jo manzil-ba-manzil baḌh rahā hai

    to maiñ bhī yaad tujh ko jaada jaada kar rahā huuñ

    nahīñ minnat-kash-e-ehsāñ kisī rahguzar meñ

    maiñ tanhā huuñ safar bhī pā-piyāda kar rahā huuñ

    sahā jaatā nahīñ ab ranj-e-mahrūmī-e-manzil

    safar tark kar duuñ ye irāda kar rahā huuñ

    ulajhtā huuñ masāfat tavālat se maiñ jitnā

    masāfat ko maiñ utnā ziyāda kar rahā huuñ

    maiñ insāñ huuñ ye mere irtiqā hai alāmat

    ki maiñ insāniyat ko be-labāda kar rahā huuñ

    samātā nahīñ koī mirī nāqis nazar meñ

    maiñ apnī zaat se istifāda kar rahā huuñ

    safar bhī ho mayassar vo bhī din qismat dikhā.e

    maiñ barsoñ se irāda irāda kar rahā huuñ

    tire qaul-o-qasam jin ko ki bhūlā huā hai

    tirī jānib se maiñ un i.aada kar rahā huuñ

    'vaqār' ajdād tārīḳh paḌh luuñ az-sar-e-nau

    murattab jab apnā ḳhānvāda kar rahā huuñ

    main jis ko bhul jaane ka irada kar raha hun

    usi ko yaad pahle se ziyaada kar raha hun

    hai ye bhi dusron ko pyas ka ehsas shayad

    suhani rut hai aur main tark-e-baada kar raha hun

    mubarak ho jo tu manzil-ba-manzil baDh raha hai

    to main bhi yaad tujh ko jada jada kar raha hun

    nahin minnat-kash-e-ehsan kisi ka rahguzar mein

    main tanha hun safar bhi pa-piyaada kar raha hun

    saha jata nahin ab ranj-e-mahrumi-e-manzil

    safar hi tark kar dun ye irada kar raha hun

    ulajhta hun masafat ki tawalat se main jitna

    masafat ko main utna hi ziyaada kar raha hun

    main insan hun ye mere irtiqa ki hai alamat

    ki main insaniyat ko be-labaada kar raha hun

    samata hi nahin koi meri naqis nazar mein

    main apni zat hi se istifada kar raha hun

    safar bhi ho mayassar wo bhi din qismat dikhae

    main barson se irada hi irada kar raha hun

    tere qaul-o-qasam jin ko ki tu bhula hua hai

    teri jaanib se main un ka iada kar raha hun

    'waqar' ajdad ki tariKH paDh lun az-sar-e-nau

    murattab hi jab apna KHanwada kar raha hun

    Source:

    Waqar-e-Hunar (Pg. 76)

    • Author: Mohammad Zahiir
      • Edition: 1998
      • Publisher: Waqar Manvi, Sui walan, Darya Ganj, Delhi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now