main jis mein gum hun wo mere KHuda kab aaega
maiñ jis meñ gum huuñ vo mere ḳhudā kab aa.egā
vo āb-zār vo shahr-e-havā kab aa.egā
milegā kab mire pairoñ ko intiḳhāb kā izn
maiñ chal rahā huuñ vo gum-rāsta kab aa.egā
khule raheñge kahāñ tak ye bādbāñ mere
zamīñ kī raushniyoñ kā pata kab aa.egā
kanār-e-jū-e-ravāñ se kanār-e-jāñ kī taraf
vo jaltā bujhtā huā silsila kab aa.egā
ye mere dil meñ parinde jo shor karte haiñ
inheñ salīqa-e-saut-o-sadā kab aa.egā
jaleñge kab mirī āñkhoñ ke jangaloñ meñ alaav
idhar vo khoyā huā qāfila kab aa.egā
maiñ ḳhud ko bhuul ke kis din use pukārūñgā
vo apne aap ko suntā huā kab aa.egā
main jis mein gum hun wo mere KHuda kab aaega
wo aab-zar wo shahr-e-hawa kab aaega
milega kab mere pairon ko intiKHab ka izn
main chal raha hun wo gum-rasta kab aaega
khule rahenge kahan tak ye baadban mere
zamin ki raushniyon ka pata kab aaega
kanar-e-ju-e-rawan se kanar-e-jaan ki taraf
wo jalta bujhta hua silsila kab aaega
ye mere dil mein parinde jo shor karte hain
inhen saliqa-e-saut-o-sada kab aaega
jalenge kab meri aankhon ke jangalon mein alaw
idhar wo khoya hua qafila kab aaega
main KHud ko bhul ke kis din use pukarunga
wo apne aap ko sunta hua kab aaega
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 85)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.