main jitna KHush hun apne aap se utna KHafa hun
maiñ jitnā ḳhush huuñ apne aap se utnā ḳhafā huuñ
'ajab ik nafsiyātī kashmakash meñ mubtalā huuñ
jise apnā banā saktā huuñ us ko rad kiyā hai
jise apnā banā saktā nahīñ us kā huā huuñ
baḌī barjastagī se baat kar letā huuñ aksar
magar jab sochne lagtā huuñ kitnā sochtā huuñ
tujhe mā'lūm hai kahnā mirā karnā nahīñ hai
tujhe mā'lūm hai maiñ aadmī huuñ bevafā huuñ
mujhe ik ḳhvāb kā maqrūz Thahrāyā gayā hai
maiñ ik muddat se āñkheñ rehn rakkhe so rahā huuñ
mujhe sunñā na sunñā ek mushkil marhala hai
kabhī yak-laḳht sannāTā kabhī ik dam sadā huuñ
tavajjoh kā taqāza is qadar mujh se nahīñ kar
abhī bilkul abhī maiñ niiñd se so kar uThā huuñ
tujhe mā'lūm saarī ḳhūbiyāñ sab 'aib mere
tujhe mā'lūm hai achchhā huuñ maiñ kitnā burā huuñ
safar ik marhale ke baa'd karnā hai musalsal
kisī ik intihā ke baa'd maiñ be-intihā huuñ
koī mere qalam ko chand botal ḳhuun denā
ki maiñ tārīḳh apne vaqt kī likhne lagā huuñ
mire likkhe hue har lafz par tum ġhaur karnā
tumheñ mā'lūm ho jā.egā maiñ kitnā nayā huuñ
mirī taḳhlīq meñ 'āsim' ka.ī āmezisheñ haiñ
maiñ apne aap meñ miTTī huuñ paanī huuñ havā huuñ
main jitna KHush hun apne aap se utna KHafa hun
'ajab ek nafsiyati kashmakash mein mubtala hun
jise apna bana sakta hun us ko rad kiya hai
jise apna bana sakta nahin us ka hua hun
baDi barjastagi se baat kar leta hun aksar
magar jab sochne lagta hun kitna sochta hun
tujhe ma'lum hai kahna mera karna nahin hai
tujhe ma'lum hai main aadmi hun bewafa hun
mujhe ek KHwab ka maqruz Thahraya gaya hai
main ek muddat se aankhen rehn rakkhe so raha hun
mujhe sunna na sunna ek mushkil marhala hai
kabhi yak-laKHt sannaTa kabhi ek dam sada hun
tawajjoh ka taqaza is qadar mujh se nahin kar
abhi bilkul abhi main nind se so kar uTha hun
tujhe ma'lum sari KHubiyan sab 'aib mere
tujhe ma'lum hai achchha hun main kitna bura hun
safar ek marhale ke ba'd karna hai musalsal
kisi ek intiha ke ba'd main be-intiha hun
koi mere qalam ko chand botal KHun dena
ki main tariKH apne waqt ki likhne laga hun
mere likkhe hue har lafz par tum ghaur karna
tumhein ma'lum ho jaega main kitna naya hun
meri taKHliq mein 'asim' kai aamezishen hain
main apne aap mein miTTi hun pani hun hawa hun
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 62)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.