main KHud ko jitna rota ja raha hun
maiñ ḳhud ko jitnā rotā jā rahā huuñ
kamāl-e-zabt hotā jā rahā huuñ
mujhe darkār thā sailāb merā
jahāñ kuchh hai Dubotā jā rahā huuñ
koī phir merā apnā ho rahā hai
kisī se haath dhotā jā rahā huuñ
bharā hai ḳhvāhishoñ kī poTlī se
badan kā bojh Dhotā jā rahā huuñ
taqāzā hai sañbhalne kā mujhe aur
maiñ apnā hosh khotā jā rahā huuñ
uḌegī fasl har ik samt merī
havā meñ ḳhud ko botā jā rahā huuñ
main KHud ko jitna rota ja raha hun
kamal-e-zabt hota ja raha hun
mujhe darkar tha sailab mera
jahan kuchh hai Dubota ja raha hun
koi phir mera apna ho raha hai
kisi se hath dhota ja raha hun
bhara hai KHwahishon ki poTli se
badan ka bojh Dhota ja raha hun
taqaza hai sanbhalne ka mujhe aur
main apna hosh khota ja raha hun
uDegi fasl har ek samt meri
hawa mein KHud ko bota ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.