main koi waqt nahin hun jo guzar jaunga
maiñ koī vaqt nahīñ huuñ jo guzar jā.ūñgā
hashr tak apne hī markaz pe Thahar jā.ūñgā
chaah kar bhī vo mujhe bhuul sakegā kyūñkar
ik kasak ban ke dil-o-jāñ meñ utar jā.ūñgā
aa.ine meñ bhī nazar aatā nahīñ koī javāb
vo nazar pher le mujh se to kidhar jā.ūñgā
ek muflis kā kare kyoñ ye zamāna afsos
maut aa.egī ḳhamoshī se guzar jā.ūñgā
merī jāgīr hai kyā terī 'ināyat ke sivā
le ke duniyā se yahī dāġh-e-jigar jā.ūñgā
merī āvāz dabā.egī kahāñ tak duniyā
maiñ sadā ban ke havāoñ meñ bikhar jā.ūñgā
haq-parastī ko maiñ buniyād-e-'ibādat samjhūñ
qaul badlūñgā nahīñ baat pe mar jā.ūñgā
nā-tarāshīda huuñ patthar mirī tauqīr hī kyā
tere hāthoñ meñ jo aa jā.ūñ sañvar jā.ūñgā
apnā dīvāna mujhe kah deñ agar vo 'sājid'
muskurāte hue duniyā se guzar jā.ūñgā
main koi waqt nahin hun jo guzar jaunga
hashr tak apne hi markaz pe Thahar jaunga
chah kar bhi wo mujhe bhul sakega kyunkar
ek kasak ban ke dil-o-jaan mein utar jaunga
aaine mein bhi nazar aata nahin koi jawab
wo nazar pher le mujh se to kidhar jaunga
ek muflis ka kare kyon ye zamana afsos
maut aaegi KHamoshi se guzar jaunga
meri jagir hai kya teri 'inayat ke siwa
le ke duniya se yahi dagh-e-jigar jaunga
meri aawaz dabaegi kahan tak duniya
main sada ban ke hawaon mein bikhar jaunga
haq-parasti ko main buniyaad-e-'ibaadat samjhun
qaul badlunga nahin baat pe mar jaunga
na-tarashida hun patthar meri tauqir hi kya
tere hathon mein jo aa jaun sanwar jaunga
apna diwana mujhe kah den agar wo 'sajid'
muskuraate hue duniya se guzar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.