main mar na jaun kahin ai sarapa nur badan
maiñ mar na jā.ūñ kahīñ ai sarāpā nuur badan
kabhī nigāh meñ aayā nahīñ hai huur badan
tajalliyāt ko apnī ḳhifā meñ rakhiyo piyā
havas ke māroñ kī manzil hai aisā tūr-badan
do ek roz meñ zarrāt uḌte dekhoge
hai inhitāt-e-vajūdī se chūr-chūr badan
khaḌī hai ruuh Thikāne pe sākit-o-jāmid
ye pahlī baar huā jo huā hai duur badan
ye mo'jiza hai karāmat hai ab ḳhudā jaane
zamīn letī nahīñ hai ba-juz tahūr-badan
firotanī ne numāyāñ kiyā hai insāñ ko
asīr-e-ḳhāk hue haiñ sabhī ġhurūr-badan
main mar na jaun kahin ai sarapa nur badan
kabhi nigah mein aaya nahin hai hur badan
tajalliyat ko apni KHifa mein rakhiyo piya
hawas ke maron ki manzil hai aisa tur-badan
do ek roz mein zarraat uDte dekhoge
hai inhitat-e-wajudi se chur-chur badan
khaDi hai ruh Thikane pe sakit-o-jamid
ye pahli bar hua jo hua hai dur badan
ye mo'jiza hai karamat hai ab KHuda jaane
zamin leti nahin hai ba-juz tahur-badan
firotani ne numayan kiya hai insan ko
asir-e-KHak hue hain sabhi ghurur-badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.