main naqsh-e-pa sahi meri apni saDak to hai
maiñ naqsh-e-pā sahī mirī apnī saḌak to hai
markaz se chāhe duur huuñ mujh meñ chamak to hai
sūraj kī dūsrī taraf ābād hote ham
rang-e-digar sahī vahāñ imkān-e-haq to hai
hai.at se māvarā hai lisānī jamāliyāt
paanī kā asl zā.iqa zer-e-namak to hai
muñh-zor bad-tamīz balā kī hasīn hai
lahje meñ gar nahīñ hai badan meñ lachak to hai
to kyā agar maiñ siikh luuñ taslīm kā 'amal
chehre pe mere kasrat-e-rad kī jhalak to hai
pahle to bādbān the kār-e-havas meñ ham
ab donoñ kī zabān pe thoḌī jhijhak to hai
āb-o-havā se baḌh ke hai tāsīr-e-bandagī
taḳhlīq-e-do-jahāñ meñ isī kī chamak to hai
main naqsh-e-pa sahi meri apni saDak to hai
markaz se chahe dur hun mujh mein chamak to hai
suraj ki dusri taraf aabaad hote hum
rang-e-digar sahi wahan imkan-e-haq to hai
haiat se mawara hai lisani jamaliyat
pani ka asl zaiqa zer-e-namak to hai
munh-zor bad-tamiz bala ki hasin hai
lahje mein gar nahin hai badan mein lachak to hai
to kya agar main sikh lun taslim ka 'amal
chehre pe mere kasrat-e-rad ki jhalak to hai
pahle to baadban the kar-e-hawas mein hum
ab donon ki zaban pe thoDi jhijhak to hai
aab-o-hawa se baDh ke hai tasir-e-bandagi
taKHliq-e-do-jahan mein isi ki chamak to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.