maine aaram kiya chain to hasil na hua
maiñ ne ārām kiyā chain to hāsil na huā
niiñd aa.ī bhī to māhaul se ġhāfil na huā
merī āñkhoñ ne tujhe sirf tujhe dekhnā thā
koī manzar bhī kahīñ biich meñ haa.il na huā
kyā TaTole chalī jaatī haiñ tumhārī āñkheñ
kyā milegā mire siine meñ agar dil na huā
maiñ tire vāste badlā to bahut huuñ lekin
kuchh kamī rah ga.ī hogī tire qābil na huā
niiñd us ne hī basā.ī thī mirī āñkhoñ meñ
jo mire ḳhvāb kī tā'bīr meñ shāmil na huā
kis mohabbat pe karoge ye safar ḳhatm agar
muntazir koī tumhārā sar-e-manzil na huā
aa.ina dekhte ye soch ke Dar jaatā huuñ
maiñ kisī roz agar apne muqābil na huā
jism kartā hī chalā jā.egā be-sūd tavāf
dil agar kā'ba-e-'ushshāq meñ dāḳhil na huā
ab to ik aas pe tum tair rahe ho 'āsim'
kyā karoge agar us paar bhī sāhil na huā
main ne aaram kiya chain to hasil na hua
nind aai bhi to mahaul se ghafil na hua
meri aankhon ne tujhe sirf tujhe dekhna tha
koi manzar bhi kahin bich mein hail na hua
kya TaTole chali jati hain tumhaari aankhen
kya milega mere sine mein agar dil na hua
main tere waste badla to bahut hun lekin
kuchh kami rah gai hogi tere qabil na hua
nind us ne hi basai thi meri aankhon mein
jo mere KHwab ki ta'bir mein shamil na hua
kis mohabbat pe karoge ye safar KHatm agar
muntazir koi tumhaara sar-e-manzil na hua
aaina dekhte ye soch ke Dar jata hun
main kisi roz agar apne muqabil na hua
jism karta hi chala jaega be-sud tawaf
dil agar ka'ba-e-'ushshaq mein daKHil na hua
ab to ek aas pe tum tair rahe ho 'asim'
kya karoge agar us par bhi sahil na hua
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 42)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.