maine ek harf se aage kabhi socha hi na tha
maiñ ne ik harf se aage kabhī sochā hī na thā
aur vo harf luġhat meñ tirī likkhā hī na thā
maiñ ne kahnā bhī jo chāhā to bayāñ kar na sakī
mujh meñ lafzoñ ko baratne kā salīqa hī na thā
us ne milne kī rah-o-rasm na kī tark magar
maiñ hī chup rah ga.ī ab ke vo akelā hī na thā
maiñ to shā'ir mirī sachchā.ī dalīleñ māñge
us ko kyā ho gayā vo jhūTh to bolā hī na thā
maiñ ne ik buuñd jo māñgī to 'ajab qaht paḌā
ḳhuun bāzāroñ meñ jaise kabhī biktā hī na thā
vo kaḌī dhuup hai sailāb-zadoñ ke sar par
aisā lagtā hai yahāñ abr to uThThā hī na thā
itne din baa'd jo ā.īna uThāyā maiñ ne
itnā dekhā mirā chehra mirā apnā hī na thā
main ne ek harf se aage kabhi socha hi na tha
aur wo harf lughat mein teri likkha hi na tha
main ne kahna bhi jo chaha to bayan kar na saki
mujh mein lafzon ko baratne ka saliqa hi na tha
us ne milne ki rah-o-rasm na ki tark magar
main hi chup rah gai ab ke wo akela hi na tha
main to sha'ir meri sachchai dalilen mange
us ko kya ho gaya wo jhuTh to bola hi na tha
main ne ek bund jo mangi to 'ajab qaht paDa
KHun bazaron mein jaise kabhi bikta hi na tha
wo kaDi dhup hai sailab-zadon ke sar par
aisa lagta hai yahan abr to uThTha hi na tha
itne din ba'd jo aaina uThaya main ne
itna dekha mera chehra mera apna hi na tha
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 41)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.