maine yun haalat ko bad-tar nahin hone diya
maiñ ne yuuñ hālāt ko bad-tar nahīñ hone diyā
phuul sā lahja kabhī ḳhanjar nahīñ hone diyā
sho’la-e-ehsās kī garmī se pighlāte rahe
mom ko ham ne kabhī patthar nahīñ hone diyā
āshnā.ī ho sanam se ye gavāra bhī nahīñ
is dil-e-haqdār ko aazar nahīñ hone diyā
baap maañ kī ye du'āoñ kā asar hai dekhiye
des kyā pardes meñ be-ghar nahīñ hone diyā
ashk āñkhoñ se nadāmat ke gire girte ga.e
merī palkoñ ne inheñ gauhar nahīñ hone diyā
ham bulandī pe rahe qismat se parcham kī tarah
ḳham kabhī bhī ham ne apnā sar nahīñ hone diyā
zindagī ne mujh ko 'saifī' dī hai chādar muḳhtasar
maiñ ne apne paañv ko bāhar nahīñ hone diyā
main ne yun haalat ko bad-tar nahin hone diya
phul sa lahja kabhi KHanjar nahin hone diya
sho’la-e-ehsas ki garmi se pighlate rahe
mom ko hum ne kabhi patthar nahin hone diya
aashnai ho sanam se ye gawara bhi nahin
is dil-e-haqdar ko aazar nahin hone diya
bap man ki ye du'aon ka asar hai dekhiye
des kya pardes mein be-ghar nahin hone diya
ashk aankhon se nadamat ke gire girte gae
meri palkon ne inhen gauhar nahin hone diya
hum bulandi pe rahe qismat se parcham ki tarah
KHam kabhi bhi hum ne apna sar nahin hone diya
zindagi ne mujh ko 'saifi' di hai chadar muKHtasar
main ne apne panw ko bahar nahin hone diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.