main nichoDa ja chuka nikle na bal taqdir ke
maiñ nichoḌā jā chukā nikle na bal taqdīr ke
kitne gahre halqe haiñ allāh is zanjīr ke
bas nahīñ chaltā kisī kā sāmne taqdīr ke
uḌte dekhe haiñ paraḳhche dāman-e-tadbīr ke
tum kaho tum dekh bhī sakte ho zaḳhmoñ kī bahār
merā kyā maiñ to dikhā dūñgā kaleja chiir ke
dil to TukḌe TukḌe hai phir bhī dikhā saktā huuñ maiñ
dil ke har TukḌe meñ kuchh TukḌe tumhāre tiir ke
ġham-gusārī ye bhī hai ye kar liyā kar kam se kam
paas jā kar baiTh jaayā kar kisī dil-gīr ke
paḌh liyā kartā huuñ aksar apnī qismat kā likhā
aaj bhī mahfūz haiñ purze tirī tahrīr ke
kab se masrūf-e-du'ā huuñ lekin ab tak ai 'vaqār'
paas se bhī to nahīñ guzrī du'ā tāsīr ke
main nichoDa ja chuka nikle na bal taqdir ke
kitne gahre halqe hain allah is zanjir ke
bas nahin chalta kisi ka samne taqdir ke
uDte dekhe hain paraKHche daman-e-tadbir ke
tum kaho tum dekh bhi sakte ho zaKHmon ki bahaar
mera kya main to dikha dunga kaleja chir ke
dil to TukDe TukDe hai phir bhi dikha sakta hun main
dil ke har TukDe mein kuchh TukDe tumhaare tir ke
gham-gusari ye bhi hai ye kar liya kar kam se kam
pas ja kar baiTh jaya kar kisi dil-gir ke
paDh liya karta hun aksar apni qismat ka likha
aaj bhi mahfuz hain purze teri tahrir ke
kab se masruf-e-du'a hun lekin ab tak ai 'waqar'
pas se bhi to nahin guzri du'a tasir ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.