Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main samajhta tha haqiqat aashna ho jaega

Akhtar Ziai

main samajhta tha haqiqat aashna ho jaega

Akhtar Ziai

MORE BYAkhtar Ziai

    maiñ samajhtā thā haqīqat āshnā ho jā.egā

    kyā ḳhabar thī merī bātoñ se ḳhafā ho jā.egā

    rafta-rafta ibtilā-e-ġham shifā ho jā.egā

    dard had se guzarne par davā ho jā.egā

    ham pe to pahle zāhir thā ma.āl-e-bandagī

    pūjne jāoge jis but ko ḳhudā ho jā.egā

    tajrbe aañch se āḳhir raqīb-e-rū-siyah

    un qurbat se hamārā ham-navā ho jā.egā

    aah jo siine se niklegī fuġhāñ ban jā.egī

    ashk jo āñkhoñ se Tapkegā du'ā ban jā.egā

    dam-ba-dam jo saath dene kiyā kartā thā 'ahd

    kis ko thā mā'lūm ki ik din judā ho jā.egā

    chhoḌne vaale sar-e-rāhe hameñ tere liye

    zindagānī safar be-mudda.ā ho jā.egā

    ik nigāh-e-lutf vo pahlī dildārī ke saath

    daan kar diije ġharīboñ bhalā ho jā.egā

    sahl-tar hogā najāt-e-ḳhalq meñ qarz-e-vafā

    jaan bhī degā agar 'aḳhtar' adā ho jā.egā

    main samajhta tha haqiqat aashna ho jaega

    kya KHabar thi meri baaton se KHafa ho jaega

    rafta-rafta ibtila-e-gham shifa ho jaega

    dard hi had se guzarne par dawa ho jaega

    hum pe to pahle hi zahir tha maal-e-bandagi

    pujne jaoge jis but ko KHuda ho jaega

    tajrbe ki aanch se aaKHir raqib-e-ru-siyah

    un ki qurbat se hamara ham-nawa ho jaega

    aah jo sine se niklegi fughan ban jaegi

    ashk jo aankhon se Tapkega du'a ban jaega

    dam-ba-dam jo sath dene ka kiya karta tha 'ahd

    kis ko tha ma'lum ki ek din juda ho jaega

    chhoDne wale sar-e-rahe hamein tere liye

    zindagani ka safar be-muddaa ho jaega

    ek nigah-e-lutf wo pahli si dildari ke sath

    dan kar dije gharibon ka bhala ho jaega

    sahl-tar hoga najat-e-KHalq mein qarz-e-wafa

    jaan bhi dega agar 'aKHtar' ada ho jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now