main shahr-e-fan mein jab se shahr-yari kar raha hun
maiñ shahr-e-fan meñ jab se shahr-yārī kar rahā huuñ
ḳhud apnī maut ke farmān jaarī kar rahā huuñ
kal apne aap ko ḳhud hī kiyā thā qatl maiñ ne
ab apnī laash par ḳhud āh-o-zārī kar rahā huuñ
tumheñ shikva hai ab kis baat kā ai nukta-chīno
ye kyā kam hai ki maiñ 'izzat tumhārī kar rahā huuñ
jo mutlaq bāñjh haiñ muddat se phal dete nahīñ haiñ
unhīñ peḌoñ par ab maiñ sang-bārī kar rahā huuñ
ye duniyā mujh se kam-tar hai bahut phir bhī maiñ 'najmī'
isī kī nazr apnī 'umr saarī kar rahā huuñ
main shahr-e-fan mein jab se shahr-yari kar raha hun
KHud apni maut ke farman jari kar raha hun
kal apne aap ko KHud hi kiya tha qatl main ne
ab apni lash par KHud aah-o-zari kar raha hun
tumhein shikwa hai ab kis baat ka ai nukta-chino
ye kya kam hai ki main 'izzat tumhaari kar raha hun
jo mutlaq banjh hain muddat se phal dete nahin hain
unhin peDon par ab main sang-bari kar raha hun
ye duniya mujh se kam-tar hai bahut phir bhi main 'najmi'
isi ki nazr apni 'umr sari kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.