Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main shajar hun aur ek patta hai tu

Imran Badayuni

main shajar hun aur ek patta hai tu

Imran Badayuni

MORE BYImran Badayuni

    maiñ shajar huuñ aur ik pattā hai

    merī to shāḳh se TuuTā hai

    shā.erī meñ roz tūfāñ se laḌā

    kyā samundar meñ kabhī utrā hai

    sub.h tak sahmī rahīñ āñkheñ mirī

    ḳhvāb kaisī raah se guzrā hai

    kyā ḳhabar kab saath merā chhoḌ de

    āñkhoñ meñ Thahrā huā qatra hai

    kuchh kamī shāyad tirī miTTī meñ hai

    jab sameTā dil tujhe bikhrā hai

    vaqt-e-ruḳhsat burā mat kah ise

    umr bhar is jism meñ Thahrā hai

    buz-dilī keval mire andar hai kyā

    yuuñ mujhe hairat se kyuuñ taktā hai

    ye tirī sāzish hai phir ittifāq

    maiñ jahāñ Duubā vahīñ ubhrā hai

    jo añdhere meñ kahīñ gum ho gayā

    sochtā huuñ kyā vahī saaya hai

    kyā ḳhabar muḳhbir havā ho vahī

    ai diye jis ke liye jaltā hai

    zindagī ne phir tujhe uljhā liyā

    maiñ na kahtā thā abhī bachcha hai

    main shajar hun aur ek patta hai tu

    meri hi to shaKH se TuTa hai tu

    shaeri mein roz tufan se laDa

    kya samundar mein kabhi utra hai tu

    subh tak sahmi rahin aankhen meri

    KHwab kaisi rah se guzra hai tu

    kya KHabar kab sath mera chhoD de

    aankhon mein Thahra hua qatra hai tu

    kuchh kami shayad teri miTTi mein hai

    jab sameTa dil tujhe bikhra hai tu

    waqt-e-ruKHsat tu bura mat kah ise

    umr bhar is jism mein Thahra hai tu

    buz-dili kewal mere andar hai kya

    yun mujhe hairat se kyun takta hai tu

    ye teri sazish hai ya phir ittifaq

    main jahan Duba wahin ubhra hai tu

    jo andhere mein kahin gum ho gaya

    sochta hun kya wahi saya hai tu

    kya KHabar muKHbir hawa ka ho wahi

    ai diye jis ke liye jalta hai tu

    zindagi ne phir tujhe uljha liya

    main na kahta tha abhi bachcha hai tu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now