main so raha tha aur koi bedar mujh mein tha
maiñ so rahā thā aur koī bedār mujh meñ thā
shāyad abhī talak mirā pindār mujh meñ thā
vo kaj-adā sahī mirī pahchān bhī thā vo
apne nashe meñ mast jo fankār mujh meñ thā
maiñ ḳhud ko bhūltā bhī to kis tarah bhūltā
ik shaḳhs thā ki ā.ina-bardār mujh meñ thā
shāyad isī sabab se tavāzun sā mujh meñ hai
ik mohtasib liye hue talvār mujh meñ thā
apne kisī amal pe nadāmat nahīñ mujhe
thā nek-dil bahut jo gunahgār mujh meñ thā
main so raha tha aur koi bedar mujh mein tha
shayad abhi talak mera pindar mujh mein tha
wo kaj-ada sahi meri pahchan bhi tha wo
apne nashe mein mast jo fankar mujh mein tha
main KHud ko bhulta bhi to kis tarah bhulta
ek shaKHs tha ki aaina-bardar mujh mein tha
shayad isi sabab se tawazun sa mujh mein hai
ek mohtasib liye hue talwar mujh mein tha
apne kisi amal pe nadamat nahin mujhe
tha nek-dil bahut jo gunahgar mujh mein tha
- Book : Junoon (Pg. 102)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.