main subuk hota hua KHwab-e-giran mein aisa
maiñ subuk hotā huā ḳhvāb-e-girāñ meñ aisā
āḳhirī shaḳhs huuñ shām-e-guzarāñ meñ aisā
kyā ḳhabar thī ki mire dekhte rahne se yuñhī
ḳhuun bhar jā.egā tasvīr-e-zamāñ meñ aisā
ab mirī aañkh charāġhoñ kī tarah dekhtī hai
bahtā aayā huuñ maiñ is shām-e-ravāñ meñ aisā
ho na ho ye lab-e-ḳhāmosh kī sar-garmī hai
varna kyā aabla paḌtā hai zabāñ meñ aisā
kabhī hairāñ kabhī vīrāñ to kabhī shād-ābād
maiñ ḳhalal Dāltā aayā huuñ jahāñ meñ aisā
main subuk hota hua KHwab-e-giran mein aisa
aaKHiri shaKHs hun sham-e-guzaran mein aisa
kya KHabar thi ki mere dekhte rahne se yunhi
KHun bhar jaega taswir-e-zaman mein aisa
ab meri aankh charaghon ki tarah dekhti hai
bahta aaya hun main is sham-e-rawan mein aisa
ho na ho ye lab-e-KHamosh ki sar-garmi hai
warna kya aabla paDta hai zaban mein aisa
kabhi hairan kabhi viran to kabhi shad-abaad
main KHalal Dalta aaya hun jahan mein aisa
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 86)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.