main tilsmati se ek jangal mein hun
maiñ tilsmātī se ik jangal meñ huuñ
jinn hai bāhar aur maiñ botal meñ huuñ
kaise hogā husn terā kāT-dār
jab na maiñ bindī na maiñ kājal meñ huuñ
har qadam par yaad ā.ūñgā tujhe
ban ke kāñTā maiñ tirī chappal meñ huuñ
sard rāteñ kyā bigāḌeñgī bhalā
maiñ tire ehsās ke kambal meñ huuñ
jam ke barsūñgā maiñ ik din dekhnā
in dinoñ to qaid maiñ bādal meñ huuñ
daar kī taiyāriyoñ meñ der hai
maiñ to kab se muntazir maqtal meñ huuñ
DhūñDhte ho 'talḳh' barsoñ meñ mujhe
maiñ chhupā baiThā yahāñ is pal meñ huuñ
main tilsmati se ek jangal mein hun
jinn hai bahar aur main botal mein hun
kaise hoga husn tera kaT-dar
jab na main bindi na main kajal mein hun
har qadam par yaad aaunga tujhe
ban ke kanTa main teri chappal mein hun
sard raaten kya bigaDengi bhala
main tere ehsas ke kambal mein hun
jam ke barsunga main ek din dekhna
in dinon to qaid main baadal mein hun
dar ki taiyariyon mein der hai
main to kab se muntazir maqtal mein hun
DhunDhte ho 'talKH' barson mein mujhe
main chhupa baiTha yahan is pal mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.