aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main to apne aapko pahchanna hi chahta hun

Midhat-ul-Akhtar

main to apne aapko pahchanna hi chahta hun

Midhat-ul-Akhtar

MORE BYMidhat-ul-Akhtar

    maiñ to apne aap ko pahchānñā chāhtā huuñ

    jāntā jo kuchh nahīñ vo jānñā chāhtā huuñ

    sau farishte le ke mere paas aa.eñ jo sahīfa

    us ko apnī chhalniyoñ meñ chānñā chāhtā huuñ

    saikaḌoñ sūraj khaḌe haiñ ā.īna dar dast lekin

    sar pe zulmat ridā maiñ tānñā chāhtā huuñ

    jo mire maujūd meñ hai aur lā-maujūd meñ

    jaan saktā nahīñ aur jānñā chāhtā huuñ

    maiñ jo dushman ke bulāve par nikal aayā huuñ 'mid.hat'

    bar-sar-e-maidān meñ kuchh Thānñā chāhtā huuñ

    main to apne aap ko pahchanna hi chahta hun

    jaanta jo kuchh nahin wo jaanna hi chahta hun

    sau farishte le ke mere pas aaen jo sahifa

    us ko apni chhalniyon mein channa hi chahta hun

    saikaDon suraj khaDe hain aaina dar dast lekin

    sar pe zulmat ki rida main tanna hi chahta hun

    jo mere maujud mein hai aur la-maujud mein

    jaan sakta hi nahin aur jaanna hi chahta hun

    main jo dushman ke bulawe par nikal aaya hun 'midhat'

    bar-sar-e-maidan mein kuchh Thanna hi chahta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now