Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main to chup tha magar usne bhi sunane na diya

Shaz Tamkanat

main to chup tha magar usne bhi sunane na diya

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    maiñ to chup thā magar us ne bhī sunāne na diyā

    ġham-e-duniyā koī zikr tak aane na diyā

    us zahrāba-e-paikar hai mirī rag rag meñ

    us yādoñ ne magar haath lagāne na diyā

    us ne duurī bhī had khīñch rakhī hai goyā

    kuchh ḳhayālāt se aage mujhe jaane na diyā

    bādbāñ apne safīne zarā lete

    vaqt itnā bhī zamāne havā ne na diyā

    vahī in.aam zamāne se jise milnā thā

    log ma.asūm haiñ kahte haiñ ḳhudā ne na diyā

    koī fariyād kare guuñj mire dil se uThe

    mauqa-e-dard kabhī haath se jaane na diyā

    'shāz' ik dard se sau dard ke rishte nikle

    kin masā.ib ne use se bhulāne na diyā

    main to chup tha magar us ne bhi sunane na diya

    gham-e-duniya ka koi zikr tak aane na diya

    us ka zahraba-e-paikar hai meri rag rag mein

    us ki yaadon ne magar hath lagane na diya

    us ne duri ki bhi had khinch rakhi hai goya

    kuchh KHayalat se aage mujhe jaane na diya

    baadban apne safine ka zara si lete

    waqt itna bhi zamane ki hawa ne na diya

    wahi inam zamane se jise milna tha

    log masum hain kahte hain KHuda ne na diya

    koi fariyaad kare gunj mere dil se uThe

    mauqa-e-dard kabhi hath se jaane na diya

    'shaz' ek dard se sau dard ke rishte nikle

    kin masaib ne use ji se bhulane na diya

    Source:

    Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 378)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now