Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tumko jo mil jati yun rab ne kya hota

Sameena Rahmat Manal

main tumko jo mil jati yun rab ne kya hota

Sameena Rahmat Manal

MORE BYSameena Rahmat Manal

    maiñ tum ko jo mil jaatī yuuñ rab ne kyā hotā

    tum mujh ko jo mil jaate kyā us gayā hotā

    zaḳhmoñ ko mire dil ke kuchh aise siyā hotā

    ''va.ada na vafā karte va.ada to kiyā hotā''

    Thokar to maiñ khātī par girtī na kabhī lekin

    patthar kabhī jo raste meñ paḌā hotā

    ham bhaa.ī to haiñ lekin ghar donoñ ke chhoTe haiñ

    ik ghar meñ rah lete jo thoḌā baḌā hotā

    gul un pe khile the jo murjhā ga.e vo saare

    ik peḌ vaadī meñ ai kaash harā hotā

    ik moḌ pe milnā thā ham donoñ ko āḳhir to

    kyā terā bigaḌ jaatā va.ada jo vafā hotā

    kyoñ mujh se bichhaḌne jaldī thī tumheñ itnī

    tum dil meñ rahe hote dil ġham se rihā hotā

    jin hoñToñ se khiltī thiiñ kaliyāñ ka.ī lafzoñ

    in hoñToñ jumbish se ik naam liyā hotā

    maiñ girne kyoñ paatī kyoñ daldal meñ masā.ib

    jo aa ke kabhī mujh ko bas thaam liyā hotā

    maiñ lauT ke aa.ī to ghar vahī āñgan thā

    hasrat rahī dil meñ kuchh ghar meñ nayā hotā

    main tum ko jo mil jati yun rab ne kya hota

    tum mujh ko jo mil jate kya us ka gaya hota

    zaKHmon ko mere dil ke kuchh aise siya hota

    wada na wafa karte wada to kiya hota

    Thokar to main khati par girti na kabhi lekin

    patthar sa kabhi tu jo raste mein paDa hota

    hum bhai to hain lekin ghar donon ke chhoTe hain

    ek ghar mein hi rah lete jo thoDa baDa hota

    gul un pe khile the jo murjha gae wo sare

    ek peD hi wadi mein ai kash hara hota

    ek moD pe milna tha hum donon ko aaKHir to

    kya tera bigaD jata wada jo wafa hota

    kyon mujh se bichhaDne ki jaldi thi tumhein itni

    tum dil mein rahe hote dil gham se riha hota

    jin honTon se khilti thin kaliyan kai lafzon ki

    in honTon ki jumbish se ek nam liya hota

    main girne hi kyon pati kyon daldal mein masaib ki

    jo aa ke kabhi mujh ko bas tham liya hota

    main lauT ke aai to ghar ka wahi aangan tha

    hasrat hi rahi dil mein kuchh ghar mein naya hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now