main tum se ye nahin kahta sawal mat puchho
maiñ tum se ye nahīñ kahtā savāl mat pūchho
magar ḳhudā ke liye merā haal mat pūchho
tumhāre shahr se aur tum se duur jaane kā
hamāre dil ko hai kitnā malāl mat pūchho
ham apne yaar se bichhḌe to kis tarah bichhḌe
tumheñ hamārī qasam ye savāl mat pūchho
amīr-e-shahr haiñ ye in kā ehtirām karo
ye log kaise hue mālā-māl mat pūchho
maiñ kyā batā.ūñ tumheñ 'saif' kitnā mushkil hai
suḳhan meñ laanā nayā ik ḳhayāl mat pūchho
main tum se ye nahin kahta sawal mat puchho
magar KHuda ke liye mera haal mat puchho
tumhaare shahr se aur tum se dur jaane ka
hamare dil ko hai kitna malal mat puchho
hum apne yar se bichhDe to kis tarah bichhDe
tumhein hamari qasam ye sawal mat puchho
amir-e-shahr hain ye in ka ehtiram karo
ye log kaise hue mala-mal mat puchho
main kya bataun tumhein 'saif' kitna mushkil hai
suKHan mein lana naya ek KHayal mat puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.