main uski na-muradi ko gham-e-hasil samajhta hun
maiñ us kī nā-murādī ko ġham-e-hāsil samajhtā huuñ
jise manzil nahīñ miltī use manzil samajhtā huuñ
maiñ apnī baat se phirtā nahīñ ḳhanjar ke phirne tak
jise qātil samajhtā huuñ use qātil samajhtā huuñ
tamāñche ek do merī taraf se bhī mire muñh par
ki ḳhud ko aaj kal maiñ bhī isī qābil samajhtā huuñ
tum aa.e ho magar mujh par girānī kā ye 'ālam hai
tumhāre haath ko siine pe rakkhī sil samajhtā huuñ
mujhe ummīd hai paanī mire ghar tak na aa.egā
shigāfoñ par rakhe hāthoñ ko maiñ sāhil samajhtā huuñ
agarche ye asar-andāz hotī hai mire ghar par
magar maiñ is udāsī ko ġhizā-e-dil samajhtā huuñ
to kyā ai shaḳhs terī justujū se thak chukā huuñ maiñ
ki tū hāsil nahīñ lekin tujhe hāsil samajhtā huuñ
main us ki na-muradi ko gham-e-hasil samajhta hun
jise manzil nahin milti use manzil samajhta hun
main apni baat se phirta nahin KHanjar ke phirne tak
jise qatil samajhta hun use qatil samajhta hun
tamanche ek do meri taraf se bhi mere munh par
ki KHud ko aaj kal main bhi isi qabil samajhta hun
tum aae ho magar mujh par girani ka ye 'alam hai
tumhaare hath ko sine pe rakkhi sil samajhta hun
mujhe ummid hai pani mere ghar tak na aaega
shigafon par rakhe hathon ko main sahil samajhta hun
agarche ye asar-andaz hoti hai mere ghar par
magar main is udasi ko ghiza-e-dil samajhta hun
to kya ai shaKHs teri justuju se thak chuka hun main
ki tu hasil nahin lekin tujhe hasil samajhta hun
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 105)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.