main zindagi ke manazir pe dhyan deta hua
maiñ zindagī ke manāzir pe dhyān detā huā
har ik ghaḌī huuñ nayā imtihān detā huā
'ajīb qarya-e-mahkūm hai ki jis se maiñ
guzar rahā huuñ musalsal lagān detā huā
miyān-e-kūcha-e-be-saut se nikaltā huuñ
hujūm-e-gung ko apnī zabān detā huā
abhī to agle samay dekhnā hai qātil ko
gavāh bantā huā aur bayān detā huā
kisī hathelī pe rakkhā ho vo charāġh jo hai
sukūt-e-gumbad-e-shab meñ azaan detā huā
sahar kī khoj meñ niklā hai phir lahū apnā
har ek reza-e-dil ko uḌaan detā huā
yahīñ se guzregā 'at.har' lahū-libās koī
har ek naqsh-e-qadam se nishān detā huā
main zindagi ke manazir pe dhyan deta hua
har ek ghaDi hun naya imtihan deta hua
'ajib qarya-e-mahkum hai ki jis se main
guzar raha hun musalsal lagan deta hua
miyan-e-kucha-e-be-saut se nikalta hun
hujum-e-gung ko apni zaban deta hua
abhi to agle samay dekhna hai qatil ko
gawah banta hua aur bayan deta hua
kisi hatheli pe rakkha ho wo charagh jo hai
sukut-e-gumbad-e-shab mein azan deta hua
sahar ki khoj mein nikla hai phir lahu apna
har ek reza-e-dil ko uDan deta hua
yahin se guzrega 'athar' lahu-libas koi
har ek naqsh-e-qadam se nishan deta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.