maKHmur ada-e-saqi hai mahrum dil-e-nakaam nahin

maKHmur ada-e-saqi hai mahrum dil-e-nakaam nahin
Abdur Rasheed Kaifi
MORE BYAbdur Rasheed Kaifi
maḳhmūr adā-e-sāqī hai mahrūm dil-e-nākām nahīñ
khīñch aa.ī hai mere sāġhar meñ vo mai jo rahīn-e-jām nahīñ
duniyā-e-chaman hai pesh-e-nazar phirtā hai samāñ āñkhoñ meñ vahī
ham laakh raheñ pāband-e-qafas kuchh dil to asīr-e-dām nahīñ
kyoñ daaġh lahū ke dhote ho kyoñ zīnat-e-dāman khote ho
be-kār pareshāñ hote ho tum par to koī ilzām nahīñ
vo mahv-e-taġhāful suntā hai ham kahte haiñ dil kā afsāna
kuchh bāteñ haiñ bahkī bahkī sī āġhāz nahīñ anjām nahīñ
yā ham hī nahīñ shāyān-e-jafā yā us ko nahīñ hai qadr-e-vafā
is bazm meñ 'kaifī' varna koī mahrūm nahīñ nākām nahīñ
maKHmur ada-e-saqi hai mahrum dil-e-nakaam nahin
khinch aai hai mere saghar mein wo mai jo rahin-e-jam nahin
duniya-e-chaman hai pesh-e-nazar phirta hai saman aankhon mein wahi
hum lakh rahen paband-e-qafas kuchh dil to asir-e-dam nahin
kyon dagh lahu ke dhote ho kyon zinat-e-daman khote ho
be-kar pareshan hote ho tum par to koi ilzam nahin
wo mahw-e-taghaful sunta hai hum kahte hain dil ka afsana
kuchh baaten hain bahki bahki si aaghaz nahin anjam nahin
ya hum hi nahin shayan-e-jafa ya us ko nahin hai qadr-e-wafa
is bazm mein 'kaifi' warna koi mahrum nahin nakaam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.