man pi ki rah takte takte thak jae ye mohan rit nahin
man pī kī rah takte takte thak jaa.e ye mohan riit nahīñ
bhor aa.e chāñd chamakne se pahle ye haar hai jiit nahīñ
koī maane na maane baat mirī jī un ko hī sāmne chāhtā hai
jag is ko jo bhī chāhe kahe chalo moh sahī ye piit nahīñ
ab tum bhī mujh se rūThte ho abhī aur zarā Thahro taaro
vo ā.eñge vo ā.eñge samay itnī jaldī biit nahīñ
vo sankh baje ghuñghrū bole TuuTe bandhan chhā.ī chup ke
suunī hī rahegī ye nagrī kyā merā koī bhī miit nahīñ
hañstī hai nāchtī jaatī pavan kitnī ḳhush hai maiñ kaise kahūñ
phirtī hai jis ko saath liye vo dard hai merā giit nahīñ
man pi ki rah takte takte thak jae ye mohan rit nahin
bhor aae chand chamakne se pahle ye haar hai jit nahin
koi mane na mane baat meri ji un ko hi samne chahta hai
jag is ko jo bhi chahe kahe chalo moh sahi ye pit nahin
ab tum bhi mujh se ruThte ho abhi aur zara Thahro taro
wo aaenge wo aaenge samay itni jaldi bit nahin
wo sankh baje ghunghru bole TuTe bandhan chhai chup ke
suni hi rahegi ye nagri kya mera koi bhi mit nahin
hansti hai nachti jati pawan kitni KHush hai main kaise kahun
phirti hai jis ko sath liye wo dard hai mera git nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.