mansab-e-isar pe mamur ho jata hun main
mansab-e-īsār pe māmūr ho jaatā huuñ maiñ
dekh kar mā'zūr ko mā'zūr ho jaatā huuñ maiñ
muddatoñ jaatā nahīñ huuñ us se milne ke liye
phir achānak ek din majbūr ho jaatā huuñ maiñ
dekhne vāloñ kī jānib dekhtā huuñ sarsarī
saath jab tū ho bahut maġhrūr ho jaatā huuñ maiñ
dekhtā huuñ maiñ use manzar meñ gum hote hue
aur phir apnī nazar se duur ho jaatā huuñ maiñ
maiñ to ik gosha-nashīñ shā'ir huuñ lekin dosto
zid tumhārī hai chalo mash.hūr ho jaatā huuñ maiñ
mansab-e-isar pe mamur ho jata hun main
dekh kar ma'zur ko ma'zur ho jata hun main
muddaton jata nahin hun us se milne ke liye
phir achanak ek din majbur ho jata hun main
dekhne walon ki jaanib dekhta hun sarsari
sath jab tu ho bahut maghrur ho jata hun main
dekhta hun main use manzar mein gum hote hue
aur phir apni nazar se dur ho jata hun main
main to ek gosha-nashin sha'ir hun lekin dosto
zid tumhaari hai chalo mashhur ho jata hun main
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 165)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.