manzar ko samajhiye pas-e-manzar mein utar kar
manzar ko samajhiye pas-e-manzar meñ utar kar
chehre meñ chhupā hotā hai chehra bhī bahut kuchh
hone pe hameñ apne bahut naaz hai lekin
kahte haiñ ki hotā hai na honā bhī bahut kuchh
mahsūr kiyā hai mire iz.hār ne is ko
is lafz ke ho sakte haiñ mā'nī bhī bahut kuchh
anjān musāfir ke liye raah dikhāne
ho jaatā hai gūñge kā ishāra bhī bahut kuchh
chalne pe na chalne pe hai mauqūf hamāre
ye rāsta TeḌhā bhī hai sīdhā bhī bahut kuchh
kyā kam hai ki is haal meñ kahte haiñ ġhazal log
ye kyā ki har ik she'r ho achchhā bhī bahut kuchh
manzar ko samajhiye pas-e-manzar mein utar kar
chehre mein chhupa hota hai chehra bhi bahut kuchh
hone pe hamein apne bahut naz hai lekin
kahte hain ki hota hai na hona bhi bahut kuchh
mahsur kiya hai mere izhaar ne is ko
is lafz ke ho sakte hain ma'ni bhi bahut kuchh
anjaan musafir ke liye rah dikhane
ho jata hai gunge ka ishaara bhi bahut kuchh
chalne pe na chalne pe hai mauquf hamare
ye rasta TeDha bhi hai sidha bhi bahut kuchh
kya kam hai ki is haal mein kahte hain ghazal log
ye kya ki har ek she'r ho achchha bhi bahut kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.