Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzaron ki bhiD thi koi pas-e-manzar na tha

Jauhar Balliawi

manzaron ki bhiD thi koi pas-e-manzar na tha

Jauhar Balliawi

MORE BYJauhar Balliawi

    manzaroñ bhiiḌ thī koī pas-e-manzar na thā

    kārvān-e-vaqt pahle aisā be-mehvar na thā

    ik sadā-e-be-sadā guuñj thī chāroñ taraf

    sirf saa.e reñgte the koī bhī paikar na thā

    kaun de ilzām kis par raushnī ke qatl

    baḌhne vaalī zulmatoñ ke haath meñ ḳhanjar na thā

    thī havāoñ vo sāzish taqāzā vaqt

    barhana the peḌ saare koī barg-e-tar na thā

    apnī fitrat azal se sūrat-e-sīmāb thī

    maiñ ravāñ thā misl-e-dariyā ghaaT patthar na thā

    bārish-e-sang-e-malāmat yuuñ to har jānib se thī

    sar-buland apnī anā thī mujh ko fikr-e-sar na thā

    tai huā kuchh is tarah sahrā-e-hastī safar

    jaise apne sar pe 'jauhar' gumbad-e-be-dar na thā

    manzaron ki bhiD thi koi pas-e-manzar na tha

    karwan-e-waqt pahle aisa be-mehwar na tha

    ek sada-e-be-sada ki gunj thi chaaron taraf

    sirf sae rengte the koi bhi paikar na tha

    kaun de ilzam kis par raushni ke qatl ka

    baDhne wali zulmaton ke hath mein KHanjar na tha

    thi hawaon ki wo sazish ya taqaza waqt ka

    barhana the peD sare koi barg-e-tar na tha

    apni fitrat hi azal se surat-e-simab thi

    main rawan tha misl-e-dariya ghaT ka patthar na tha

    barish-e-sang-e-malamat yun to har jaanib se thi

    sar-buland apni ana thi mujh ko fikr-e-sar na tha

    tai hua kuchh is tarah sahra-e-hasti ka safar

    jaise apne sar pe 'jauhar' gumbad-e-be-dar na tha

    Source:

    Nishat-e-Dard (Pg. 39)

    • Author: Jauhar Balliawi
      • Publisher: Gulrez Publication, Jamshedpur
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now