manzil-e-be-jahat ki KHair sai-e-safar hai raegan
manzil-e-be-jahat kī ḳhair sa.ī-e-safar hai rā.egāñ
ahl-e-vafā ke qāfile phir bhī to haiñ ravāñ davāñ
zahr hai mere jaam meñ hoñToñ pe aa ga.ī hai jaañ
phir bhī mujhe hayāt par tere karam kā hai gumāñ
dahr pe maiñ khulā nahīñ mujh ko ḳhudā milā nahīñ
aap hī apnā raaz huuñ aap hī apnā rāz-dāñ
husn ko chhū ke dekhnā aag thā mom ke liye
ruuh pighal ke rah ga.ī aql huī dhuāñ dhuāñ
vo bhī to haiñ ki zindagī jin ke liye hai añgbīñ
zā.iqa-e-hayāt se aiñTh ga.ī mirī zabāñ
gosh-e-gul-bahār meñ kis ne kahā hai harf-e-shauq
kaun hai merā tarjumāñ kis ko milī mirī zabāñ
manzil-e-be-jahat ki KHair sai-e-safar hai raegan
ahl-e-wafa ke qafile phir bhi to hain rawan dawan
zahr hai mere jam mein honTon pe aa gai hai jaan
phir bhi mujhe hayat par tere karam ka hai guman
dahr pe main khula nahin mujh ko KHuda mila nahin
aap hi apna raaz hun aap hi apna raaz-dan
husn ko chhu ke dekhna aag tha mom ke liye
ruh pighal ke rah gai aql hui dhuan dhuan
wo bhi to hain ki zindagi jin ke liye hai angbin
zaiqa-e-hayat se ainTh gai meri zaban
gosh-e-gul-bahaar mein kis ne kaha hai harf-e-shauq
kaun hai mera tarjuman kis ko mili meri zaban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.