manzil-e-shab se guzar kar subh tak aate hain log
manzil-e-shab se guzar kar sub.h tak aate haiñ log
raushnī ban kar añdheroñ meñ utar jaate haiñ log
‘ālam-e-pīrī meñ aatā hai salīqa ziist kā
jāgne kā vaqt aatā hai to so jaate haiñ log
e'tibār-e-vā’da-e-fardā umīd-e-vasl-e-yār
kyā khilaune haiñ ki jin se ḳhud ko bahlāte haiñ log
sirf qurbat hī nahīñ shart-e-rifāqat dosto
sāmne rah kar bhī aksar duur ho jaate haiñ log
ham ne dekhā hai ki aksar maslahat kī raah meñ
apnī hī dānā.ī kī suulī pe chaḌh jaate haiñ log
jis diye ko kal havā kī zad pe rakkhā thā 'sirāj'
us diye hī se ujāle māñgne aate haiñ log
manzil-e-shab se guzar kar subh tak aate hain log
raushni ban kar andheron mein utar jate hain log
‘alam-e-piri mein aata hai saliqa zist ka
jagne ka waqt aata hai to so jate hain log
e'tibar-e-wa’da-e-farda umid-e-wasl-e-yar
kya khilaune hain ki jin se KHud ko bahlate hain log
sirf qurbat hi nahin shart-e-rifaqat dosto
samne rah kar bhi aksar dur ho jate hain log
hum ne dekha hai ki aksar maslahat ki rah mein
apni hi danai ki suli pe chaDh jate hain log
jis diye ko kal hawa ki zad pe rakkha tha 'siraj'
us diye hi se ujale mangne aate hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.