manzilon usko aawaz dete rahe manzilon jis ki koi KHabar bhi na thi

Tab Aslam

manzilon usko aawaz dete rahe manzilon jis ki koi KHabar bhi na thi

Tab Aslam

MORE BYTab Aslam

  manziloñ us ko āvāz dete rahe manziloñ jis koī ḳhabar bhī na thī

  dāman-e-shab meñ koī sitāra na thā sham.a koī sar-e-rahguzar bhī na thī

  ik bagūla uThā dasht meñ kho gayā ik kiran thī jo zulmat meñ gum ho ga.ī

  zindagī jis ko samjhe the ham zindagī zindagī misl-e-raqs-e-sharar bhī na thī

  fasl-e-gul se thā ābād sehn-e-chaman fasl-e-gul jo ga.ī raunaqeñ luT ga.iiñ

  yuuñ ḳhamoshī se shām-e-ḳhizāñ aa.egī ahl-e-gulshan ko is ḳhabar bhī na thī

  is tarah manzil-e-ārzū kaT ga.ī is tarah ye ghanī tīrgī chhaT ga.ī

  apne paañv pe yaaro ḳharāsheñ to kyā apne chehre pe gard-e-safar bhī na thī

  phir se āñkhoñ ke sāġhar chhalakne lage mauj-dar-mauj aañsū nikalne lage

  'tāb' ghar meñ vo mehmān phir aa gayā jis ke aane koī ḳhabar bhī na thī

  manzilon us ko aawaz dete rahe manzilon jis ki koi KHabar bhi na thi

  daman-e-shab mein koi sitara na tha shama koi sar-e-rahguzar bhi na thi

  ek bagula uTha dasht mein kho gaya ek kiran thi jo zulmat mein gum ho gai

  zindagi jis ko samjhe the hum zindagi zindagi misl-e-raqs-e-sharar bhi na thi

  fasl-e-gul se tha aabaad sehn-e-chaman fasl-e-gul jo gai raunaqen luT gain

  yun KHamoshi se sham-e-KHizan aaegi ahl-e-gulshan ko is ki KHabar bhi na thi

  is tarah manzil-e-arzu kaT gai is tarah ye ghani tirgi chhaT gai

  apne panw pe yaro KHarashen to kya apne chehre pe gard-e-safar bhi na thi

  phir se aankhon ke saghar chhalakne lage mauj-dar-mauj aansu nikalne lage

  'tab' ghar mein wo mehman phir aa gaya jis ke aane ki koi KHabar bhi na thi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY
  Speak Now