Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mari wafa ne khilae the jo gulab sare jhulas gae hain

Wasi Shah

mari wafa ne khilae the jo gulab sare jhulas gae hain

Wasi Shah

MORE BYWasi Shah

    marī vafā ne khilā.e the jo gulāb saare jhulas ga.e haiñ

    tumhārī āñkhoñ meñ jis qadar the vo ḳhvāb saare jhulas ga.e haiñ

    marī zamīñ ko kisī na.e hādse hai intizār shāyad

    gunāh phalne lage haiñ ajr o savāb saare jhulas ga.e haiñ

    jo tum ga.e to mirī nazar pe haqīqatoñ ke azaab utre

    ye sochtā huuñ ki kyā karūñgā sarāb saare jhulas ga.e haiñ

    ye mo.ajiza sirf ek shab masāfatoñ ke sabab huā hai

    tumhāre aur mere darmiyāñ ke hijāb saare jhulas ga.e haiñ

    use batānā ki us yādoñ ke saare safhe jalā chukā huuñ

    kitāb-e-dil meñ raqam the jitne vo baab saare jhulas ga.e haiñ

    nazar uThā.ūñ maiñ jis taraf bhī muhīb saa.e haiñ zulmatoñ ke

    ye kyā ki mere nasīb ke māhtāb saare jhulas ga.e haiñ

    tumhārī nazroñ ye tapish hai ki mere lafzoñ pe aable haiñ

    savāl saare jhulas ga.e haiñ javāb saare jhulas ga.e haiñ

    ye aag ḳhāmoshiyoñ kaisī tumhārī āñkhoñ meñ tairtī hai

    tumhāre hoñToñ pe darj the jo nisāb saare jhulas ga.e haiñ

    mari wafa ne khilae the jo gulab sare jhulas gae hain

    tumhaari aankhon mein jis qadar the wo KHwab sare jhulas gae hain

    mari zamin ko kisi nae hadse ka hai intizar shayad

    gunah phalne lage hain ajr o sawab sare jhulas gae hain

    jo tum gae to meri nazar pe haqiqaton ke azab utre

    ye sochta hun ki kya karunga sarab sare jhulas gae hain

    ye moajiza sirf ek shab ki masafaton ke sabab hua hai

    tumhaare aur mere darmiyan ke hijab sare jhulas gae hain

    use batana ki us ki yaadon ke sare safhe jala chuka hun

    kitab-e-dil mein raqam the jitne wo bab sare jhulas gae hain

    nazar uThaun main jis taraf bhi muhib sae hain zulmaton ke

    ye kya ki mere nasib ke mahtab sare jhulas gae hain

    tumhaari nazron ki ye tapish hai ki mere lafzon pe aable hain

    sawal sare jhulas gae hain jawab sare jhulas gae hain

    ye aag KHamoshiyon ki kaisi tumhaari aankhon mein tairti hai

    tumhaare honTon pe darj the jo nisab sare jhulas gae hain

    Source:

    Aankhen Bheeg Jati Hain (Pg. 68)

    • Author: Wasi Shah
      • Edition: 1997
      • Publisher: Al-Razzaq Publications, Lahore
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now