Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masala aaj mere ishq ka tu hal kar de

Farhat Nadeem Humayun

masala aaj mere ishq ka tu hal kar de

Farhat Nadeem Humayun

MORE BYFarhat Nadeem Humayun

    mas.ala aaj mire ishq hal kar de

    pyaar kar TuuT ke mujh se mujhe pāgal kar de

    luuT le merā sukūñ aur mujhe be-kal kar de

    yuuñ simaT aa mirī bāñhoñ meñ unheñ shal kar de

    dekh kar pahlī nazar meñ jo umaD aa.e the

    phir se jazbāt meñ paidā vahī halchal kar de

    ban ke ghanghor ghaTā mujh pe chhā khul ke baras

    ḳhushk sahrā ko mire jism ke jal-thal kar de

    kis tarah vaqt guzartā hai pata na chale

    ibtidā aaj se kar aur use kal kar de

    tere bin mujh ko adhūrā lage apnā vajūd

    yuuñ samā mujh meñ mirā jism mukammal kar de

    jhiil āñkhoñ mirī jaan zarā sadqa utaar

    aur mire naam āñkhoñ ye kājal kar de

    aur kuchh tujh se nahīñ māñgtā ai jān-e-hayāt

    vaqt bas mere liye apnā har ik pal kar de

    chāhtā huuñ ki na dekheñ tujhe duniyā vaale

    sirf parde ke liye sāmne āñchal kar de

    qabl is ke mujhe jhulsā de ġhamoñ sūraj

    mujh pe apnī siyah zulfoñ bādal kar de

    mere allāh nazar bhar ke use dekh to luuñ

    phir chāhe mirī āñkhoñ ko muqaffal kar de

    Duub jā.ūñ maiñ tire ishq-samundar meñ 'nadīm'

    apnī sāñsoñ se mirī sāñsoñ ko bojhal kar de

    masala aaj mere ishq ka tu hal kar de

    pyar kar TuT ke mujh se mujhe pagal kar de

    luT le mera sukun aur mujhe be-kal kar de

    yun simaT aa meri banhon mein unhen shal kar de

    dekh kar pahli nazar mein jo umaD aae the

    phir se jazbaat mein paida wahi halchal kar de

    ban ke ghanghor ghaTa mujh pe tu chha khul ke baras

    KHushk sahra ko mere jism ke jal-thal kar de

    kis tarah waqt guzarta hai pata hi na chale

    ibtida aaj se kar aur use kal kar de

    tere bin mujh ko adhura sa lage apna wajud

    yun sama mujh mein mera jism mukammal kar de

    jhil aankhon ki meri jaan zara sadqa utar

    aur mere nam tu aankhon ka ye kajal kar de

    aur kuchh tujh se nahin mangta ai jaan-e-hayat

    waqt bas mere liye apna har ek pal kar de

    chahta hun ki na dekhen tujhe duniya wale

    sirf parde ke liye samne aanchal kar de

    qabl is ke mujhe jhulsa de ghamon ka suraj

    mujh pe tu apni siyah zulfon ka baadal kar de

    mere allah nazar bhar ke use dekh to lun

    phir tu chahe meri aankhon ko muqaffal kar de

    Dub jaun main tere ishq-samundar mein 'nadim'

    apni sanson se meri sanson ko bojhal kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now