Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maslak-e-ishq mein jaez hai jafa rahne de

Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

maslak-e-ishq mein jaez hai jafa rahne de

Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

    maslak-e-ishq meñ jaa.ez hai jafā rahne de

    mujh ko mahbūb chaukhaT pe paḌā rahne de

    ālam-e-naza.a meñ saaya ho ghanī zulfoñ

    apne chehra pe nigāhoñ ko jamā rahne de

    ham ne kāñToñ se nikālā hai adab ko zālim

    halqa-e-zauq ko phūloñ se sajā rahne de

    terī nazroñ se chalā tiir lagā hai dil par

    is bahāne sahī phuul khilā rahne de

    naam lenā bhī hai dūbhar ye vafā kaisī hai

    shaaq hai dil pe bahut aisī sazā rahne de

    mere zaḳhmoñ mudāvā hai duā.eñ terī

    kam se kam naam hoñToñ pe sajā rahne de

    terī muskān meñ pinhāñ hai hamārī hastī

    apne hoñToñ pe tabassum ko zarā rahne de

    aks āñkhoñ meñ basāne ijāzat de de

    apnī yādoñ diyā dil meñ jalā rahne de

    dosh-e-makkār uThā.e jo janāza merā

    is se behtar hai ki maqtal meñ paḌā rahne de

    mashrab-e-dīd shaidā.ī 'falak kahtā hai

    jām-e-ulfat meñ tamannā ko milā rahne de

    maslak-e-ishq mein jaez hai jafa rahne de

    mujh ko mahbub ki chaukhaT pe paDa rahne de

    aalam-e-naza mein saya ho ghani zulfon ka

    apne chehra pe nigahon ko jama rahne de

    hum ne kanTon se nikala hai adab ko zalim

    halqa-e-zauq ko phulon se saja rahne de

    teri nazron se chala tir laga hai dil par

    is bahane hi sahi phul khila rahne de

    nam lena bhi hai dubhar ye wafa kaisi hai

    shaq hai dil pe bahut aisi saza rahne de

    mere zaKHmon ka mudawa hai duaen teri

    kam se kam nam hi honTon pe saja rahne de

    teri muskan mein pinhan hai hamari hasti

    apne honTon pe tabassum ko zara rahne de

    aks aankhon mein basane ki ijazat de de

    apni yaadon ka diya dil mein jala rahne de

    dosh-e-makkar uThae jo janaza mera

    is se behtar hai ki maqtal mein paDa rahne de

    mashrab-e-did ka shaidai 'falak kahta hai

    jam-e-ulfat mein tamanna ko mila rahne de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now