masrūf haiñ tavāf meñ mai-ḳhvār āj-kal
ka.aba banā hai ḳhāna-e-ḳhammār āj-kal
kūcha hai un kā misr kā bāzār āj-kal
chāroñ taraf khaḌe haiñ ḳharīdār āj-kal
tār-e-nazar bhī TukḌe ho dekhe agar koī
aisī uThī hai yaar kī talvār āj-kal
jaatī hai aise ġhairat-e-yūsuf par apnī jaan
saarā jahāñ hai jis kā ḳharīdār āj-kal
har har qadam pe hote haiñ ushshāq pā.emāl
sīkhī hai tum ne kis se ye raftār āj-kal
bijlī bhī gir paḌī to maiñ dekhūñ jamāl-e-yār
allāh re ye hasrat-e-dīdār āj-kal
terī kamar se dete haiñ tashbīh ḳhās-o-ām
lāġhar huā hai aisā tan-e-zār āj-kal
haddād vahshiyoñ ko hai saudā-e-zulf-e-yār
zanjīr-o-tauq donoñ haiñ darkār āj-kal
sayyād-o-bāġhbān tire dushman haiñ andalīb
rahnā na tū chaman meñ ḳhabar-dār āj-kal
maiñ lan-tarāniyoñ ko na mānūñgā aap kī
mūsā-sifat huuñ tālib-e-dīdār āj-kal
dete haiñ vo sazā mujhe ġhairoñ ke jurm par
koī nahīñ hai mujh sā gunahgār āj-kal
phir iḳhtilāj-e-qalb huā phir huā junūn
phir ho gayā hai ishq kā āzār āj-kal
bulbul hai shāḳh-e-gul pe na qumrī hai sarv par
barbād sab ḳhizāñ se hai gulzār āj-kal
tā.ūs-o-kabk donoñ haiñ vārafta haal par
chaltā hai naaz kī jo vo raftār āj-kal
dil kis sanam pe aaya hai batlāo to 'vafā'
pur-dard tum jo kahte ho ash.ār āj-kal
masruf hain tawaf mein mai-KHwar aaj-kal
kaba bana hai KHana-e-KHammar aaj-kal
kucha hai un ka misr ka bazar aaj-kal
chaaron taraf khaDe hain KHaridar aaj-kal
tar-e-nazar bhi TukDe ho dekhe agar koi
aisi uThi hai yar ki talwar aaj-kal
jati hai aise ghairat-e-yusuf par apni jaan
sara jahan hai jis ka KHaridar aaj-kal
har har qadam pe hote hain ushshaq paemal
sikhi hai tum ne kis se ye raftar aaj-kal
bijli bhi gir paDi to main dekhun jamal-e-yar
allah re ye hasrat-e-didar aaj-kal
teri kamar se dete hain tashbih KHas-o-am
laghar hua hai aisa tan-e-zar aaj-kal
haddad wahshiyon ko hai sauda-e-zulf-e-yar
zanjir-o-tauq donon hain darkar aaj-kal
sayyaad-o-baghban tere dushman hain andalib
rahna na tu chaman mein KHabar-dar aaj-kal
main lan-taraniyon ko na manunga aap ki
musa-sifat hun talib-e-didar aaj-kal
dete hain wo saza mujhe ghairon ke jurm par
koi nahin hai mujh sa gunahgar aaj-kal
phir iKHtilaj-e-qalb hua phir hua junun
phir ho gaya hai ishq ka aazar aaj-kal
bulbul hai shaKH-e-gul pe na qumri hai sarw par
barbaad sab KHizan se hai gulzar aaj-kal
taus-o-kabk donon hain warafta haal par
chalta hai naz ki jo wo raftar aaj-kal
dil kis sanam pe aaya hai batlao to 'wafa'
pur-dard tum jo kahte ho ashaar aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.