mata-e-husn-e-‘aish-e-jawedan malum hoti hai
matā'-e-husn-e-‘aish-e-jāvedāñ mā'lūm hotī hai
tirī raunaq bahār-e-be-ḳhizāñ mā'lūm hotī hai
zabān-e-'ishq chup hai rāz-e-ulfat āshkārā hai
ḳhamoshī tarjumān-e-be-zabāñ mā'lūm hotī hai
ġham-e-duniyā-o-dīñ se dil ko is ne kar diyā fāriġh
tirī ulfat anīs-e-be-kasāñ mā'lūm hotī hai
ḳhushī ke chand din the jo ḳhushī meñ kaT ga.e lekin
hayāt-e-ġham hayāt-e-jāvedāñ mā'lūm hotī hai
kabhī jo aarzū naqsh-o-nigār-e-lauha-e-dil thī
vahī siine pe ab sang-e-girāñ mā'lūm hotī hai
abhī hai duur sarhad lazzat-e-dard-e-nihānī kī
abhī to lazzat-e-dard-e-nihāñ mā'lūm hotī hai
bhare aate haiñ aañsū sun ke hāl-e-girya-e-bulbul
are dil ye to apnī dāstāñ mā'lūm hotī hai
hujūm-e-ġham kī dil par āj-kal aisī kashākash hai
matā'-e-zindagī bār-e-garāñ mā'lūm hotī hai
ye Dar hai rāz-e-dil ifshā na ho jaa.e kahīñ yā-rab
nigāh-e-yār ab kuchh mehrbāñ mā'lūm hotī hai
ḳhudā mā'lūm kitne aur kaise ġham uThā.e haiñ
hañsī bhī dard-mandoñ kī fuġhāñ mā'lūm hotī hai
kiyā inkār bhī us ne to ummīdeñ baḌhīñ dil kī
ye us kī shoḳhī-e-husn-e-bayāñ mā'lūm hotī hai
zabāñ par hāl-e-dil aa.e 'jalīl' is kī zarūrat kyā
mirī hastī mujassam dāstāñ mā'lūm hotī hai
mata'-e-husn-e-‘aish-e-jawedan ma'lum hoti hai
teri raunaq bahaar-e-be-KHizan ma'lum hoti hai
zaban-e-'ishq chup hai raaz-e-ulfat aashkara hai
KHamoshi tarjuman-e-be-zaban ma'lum hoti hai
gham-e-duniya-o-din se dil ko is ne kar diya farigh
teri ulfat anis-e-be-kasan ma'lum hoti hai
KHushi ke chand din the jo KHushi mein kaT gae lekin
hayat-e-gham hayat-e-jawedan ma'lum hoti hai
kabhi jo aarzu naqsh-o-nigar-e-lauha-e-dil thi
wahi sine pe ab sang-e-giran ma'lum hoti hai
abhi hai dur sarhad lazzat-e-dard-e-nihani ki
abhi to lazzat-e-dard-e-nihan ma'lum hoti hai
bhare aate hain aansu sun ke haal-e-girya-e-bulbul
are dil ye to apni dastan ma'lum hoti hai
hujum-e-gham ki dil par aaj-kal aisi kashakash hai
mata'-e-zindagi bar-e-garan ma'lum hoti hai
ye Dar hai raaz-e-dil ifsha na ho jae kahin ya-rab
nigah-e-yar ab kuchh mehrban ma'lum hoti hai
KHuda ma'lum kitne aur kaise gham uThae hain
hansi bhi dard-mandon ki fughan ma'lum hoti hai
kiya inkar bhi us ne to ummiden baDhin dil ki
ye us ki shoKHi-e-husn-e-bayan ma'lum hoti hai
zaban par haal-e-dil aae 'jalil' is ki zarurat kya
meri hasti mujassam dastan ma'lum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.