mata-e-zist ka mehwar na qaid ho jae
matā'-e-zīst kā mehvar na qaid ho jaa.e
hatheliyoñ meñ muqaddar na qaid ho jaa.e
maiñ ab kī baar bahut khul ke ro nahīñ paayā
ye sāniha mire andar na qaid ho jaa.e
qafas se nikle parinde kī le to luuñ tasvīr
magar rihā.ī kā manzar na qaid ho jaa.e
abhī to ḳhushk zamīnoñ pe log qābiz haiñ
phir is ke baa'd samundar na qaid ho jaa.e
vahī dhuāñ jo ugalte haiñ ghar ke sab afrād
usī dhueñ meñ mirā ghar na qaid ho jaa.e
barash uThā.e hue soch meñ huuñ gum 'az.har'
tire ḳhayāl kā paikar na qaid ho jaa.e
mata'-e-zist ka mehwar na qaid ho jae
hatheliyon mein muqaddar na qaid ho jae
main ab ki bar bahut khul ke ro nahin paya
ye saniha mere andar na qaid ho jae
qafas se nikle parinde ki le to lun taswir
magar rihai ka manzar na qaid ho jae
abhi to KHushk zaminon pe log qabiz hain
phir is ke ba'd samundar na qaid ho jae
wahi dhuan jo ugalte hain ghar ke sab afrad
usi dhuen mein mera ghar na qaid ho jae
barash uThae hue soch mein hun gum 'azhar'
tere KHayal ka paikar na qaid ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.