Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maujud jo nahin wahi dekha bana hua

Asim Wasti

maujud jo nahin wahi dekha bana hua

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    maujūd jo nahīñ vahī dekhā banā huā

    āñkhoñ meñ ik sarāb hai dariyā banā huā

    ik aur shaḳhs bhī hai mire naam yahāñ

    ik aur shaḳhs hai mire jaisā banā huā

    samjhā rahe ho mujh ko mirā irtiqā magar

    dekhā nahīñ hai aadmī pahlā banā huā

    ai inhimāk-e-chashm zarā ye mujhe batā

    chāroñ taraf zamīn pe hai kyā banā huā

    karne lagā hai tanz mire nisf aks par

    mujh meñ jo ek shaḳhs hai puurā banā huā

    pahle kisī aañkh ne pāgal kiyā mujhe

    ab huuñ kisī nazar tamāshā banā huā

    khultī nahīñ haiñ tujh pe uryāniyāñ tirī

    'āsim' tirā libās hai achchhā banā huā

    maujud jo nahin wahi dekha bana hua

    aankhon mein ek sarab hai dariya bana hua

    ek aur shaKHs bhi hai mere nam ka yahan

    ek aur shaKHs hai mere jaisa bana hua

    samjha rahe ho mujh ko mera irtiqa magar

    dekha nahin hai aadmi pahla bana hua

    ai inhimak-e-chashm zara ye mujhe bata

    chaaron taraf zamin pe hai kya bana hua

    karne laga hai tanz mere nisf aks par

    mujh mein jo ek shaKHs hai pura bana hua

    pahle kisi ki aankh ne pagal kiya mujhe

    ab hun kisi nazar ka tamasha bana hua

    khulti nahin hain tujh pe hi uryaniyan teri

    'asim' tera libas hai achchha bana hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    maujud jo nahin wahi dekha bana hua Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now