maujudgi mein bhi use paya nahin gaya
maujūdgī meñ bhī use paayā nahīñ gayā
yā'nī use vujūd meñ laayā nahīñ gayā
bikhrā paḌā thā farsh-e-nigah par tamām raat
lekin vo ḳhvāb mujh se uThāyā nahīñ gayā
maiñ us kī dhuup se to kabhī kā nikal chukā
dil se magar us 'aks kā saaya nahīñ gayā
kaise maiñ apne aap ko pahchāntā batāo
āñkhoñ se merī mujh ko dikhāyā nahīñ gayā
kuchh is liye bhī Thokareñ khānī paḌīñ mujhe
maiñ apne rāste se uThāyā nahīñ gayā
us ke hī intizār meñ ye log haiñ niDhāl
jis shaḳhs se yahāñ kabhī aayā nahīñ gayā
maujudgi mein bhi use paya nahin gaya
ya'ni use wujud mein laya nahin gaya
bikhra paDa tha farsh-e-nigah par tamam raat
lekin wo KHwab mujh se uThaya nahin gaya
main us ki dhup se to kabhi ka nikal chuka
dil se magar us 'aks ka saya nahin gaya
kaise main apne aap ko pahchanta batao
aankhon se meri mujh ko dikhaya nahin gaya
kuchh is liye bhi Thokaren khani paDin mujhe
main apne raste se uThaya nahin gaya
us ke hi intizar mein ye log hain niDhaal
jis shaKHs se yahan kabhi aaya nahin gaya
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 89)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.