meyar-e-jehd jazba-e-isar bhi nahin
me'yār-e-jehd jazba-e-īsār bhī nahīñ
ye aap keh rahe haiñ to inkār bhī nahīñ
dekheñ kahāñ safīna-e-ahl-e-sitam ruke
ab ke to ḳhūñ-bahā ke talabgār bhī nahīñ
tash.hīr-e-kasmapursī-e-qātil hī kījiye
ab koī aur sūrat-e-iz.hār bhī nahīñ
sho'la-navā hue bhī to kab ai navā-garo
hangām-e-razm-o-'arsa-e-paikār bhī nahīñ
ab gā rahe ho naġhma-e-taqdīs-e-zindagī
jab zindagī ke jism pe ik taar bhī nahīñ
'mohsin' pe fard-e-jurm lagā.eñ to kis tarah
mā'sūm gar nahīñ hai gunahgār bhī nahīñ
me'yar-e-jehd jazba-e-isar bhi nahin
ye aap keh rahe hain to inkar bhi nahin
dekhen kahan safina-e-ahl-e-sitam ruke
ab ke to KHun-baha ke talabgar bhi nahin
tashhir-e-kasmapursi-e-qatil hi kijiye
ab koi aur surat-e-izhaar bhi nahin
sho'la-nawa hue bhi to kab ai nawa-garo
hangam-e-razm-o-'arsa-e-paikar bhi nahin
ab ga rahe ho naghma-e-taqdis-e-zindagi
jab zindagi ke jism pe ek tar bhi nahin
'mohsin' pe fard-e-jurm lagaen to kis tarah
ma'sum gar nahin hai gunahgar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.