mehwar mujhe bana sakte ho
mehvar mujhe banā sakte ho
apnī dhuup bachā sakte ho
ḳhvāb tavānā hai to kyā hai
jism se dhokā khā sakte ho
gaThrī rakh deñ piiTh Tikā leñ
itnī jagah banā sakte ho
koī badal milne tak merā
mujh se kaam chalā sakte ho
aaj nahīñ pābandī koī
maut kā ghar hai aa sakte ho
tum se jhagaḌte Dar lagtā hai
maazī biich meñ lā sakte ho
shakl badal kar aatā huuñ maiñ
tum tab tak sustā sakte ho
mehwar mujhe bana sakte ho
apni dhup bacha sakte ho
KHwab tawana hai to kya hai
jism se dhoka kha sakte ho
gaThri rakh den piTh Tika len
itni jagah bana sakte ho
koi badal milne tak mera
mujh se kaam chala sakte ho
aaj nahin pabandi koi
maut ka ghar hai aa sakte ho
tum se jhagaDte Dar lagta hai
mazi bich mein la sakte ho
shakl badal kar aata hun main
tum tab tak susta sakte ho
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 81)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.