mere andar hi kahin aaya tha tufan mera
mere andar hī kahīñ aayā thā tūfān mirā
dekhte dekhte dil ho gayā vīrān mirā
mujhe kho kar tirī āñkheñ nahīñ pahle jaisī
tere nuqsān se baḌh kar hai ye nuqsān mirā
ye samundar ki jo ab milne-milāne se gayā
ga.e vaqtoñ meñ huā kartā thā mehmān mirā
ek duniyā meñ simaT aa.e ye mumkin hī nahīñ
itnī duniyāoñ meñ bikhrā huā sāmān mirā
maiñ ne is tarh bhī us shaḳhs kā rakkhā hai ḳhayāl
kahīñ jaatā hī nahīñ apne sivā dhyān mirā
mujhe āġhāz meñ kuchh aise ishāre mile the
maiñ na hotā to kahāñ jaatā bayābān mirā
maiñ ne do hāthoñ kā saaya sā banāyā jin par
un daraḳhtoñ ne uThāyā nahīñ ehsān mirā
merī chup shor banī shor se kuchh aur banī
ek ik kar ke huā ḳhatm har imkān mirā
is mohabbat pe maiñ itnā hī kahūñgā 'shāhīn'
ik sitāre ne safar kar diyā āsān mirā
mere andar hi kahin aaya tha tufan mera
dekhte dekhte dil ho gaya viran mera
mujhe kho kar teri aankhen nahin pahle jaisi
tere nuqsan se baDh kar hai ye nuqsan mera
ye samundar ki jo ab milne-milane se gaya
gae waqton mein hua karta tha mehman mera
ek duniya mein simaT aae ye mumkin hi nahin
itni duniyaon mein bikhra hua saman mera
main ne is tarh bhi us shaKHs ka rakkha hai KHayal
kahin jata hi nahin apne siwa dhyan mera
mujhe aaghaz mein kuchh aise ishaare mile the
main na hota to kahan jata bayaban mera
main ne do hathon ka saya sa banaya jin par
un daraKHton ne uThaya nahin ehsan mera
meri chup shor bani shor se kuchh aur bani
ek ek kar ke hua KHatm har imkan mera
is mohabbat pe main itna hi kahunga 'shahin'
ek sitare ne safar kar diya aasan mera
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 52)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.