mere ashaar ka mafhum nahin khulta hai
mere ash'ār kā mafhūm nahīñ khultā hai
jaise kam-baḳht kā maqsūm nahīñ khultā hai
jis qadar chāhūñ maiñ iḳhlās kī bāteñ kar luuñ
itnā jaldī koī maġhmūm nahīñ khultā hai
uḌ ke zindān se rahtā hai muqayyad phir bhī
apne māhaul meñ mahkūm nahīñ khultā hai
dil meñ hasrat hai ki maiñ apne ḳhudā ko pā.ūñ
mujh pe lekin kabhī mā'dūm nahīñ khultā hai
maiñ use uljhī 'ibārat kī tarah paḌhtā huuñ
mahv-e-hairat huuñ ki marqūm nahīñ khultā hai
mere ash'ar ka mafhum nahin khulta hai
jaise kam-baKHt ka maqsum nahin khulta hai
jis qadar chahun main iKHlas ki baaten kar lun
itna jaldi koi maghmum nahin khulta hai
uD ke zindan se rahta hai muqayyad phir bhi
apne mahaul mein mahkum nahin khulta hai
dil mein hasrat hai ki main apne KHuda ko paun
mujh pe lekin kabhi ma'dum nahin khulta hai
main use uljhi 'ibarat ki tarah paDhta hun
mahw-e-hairat hun ki marqum nahin khulta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.