Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai

Nadeem Sirsivi

mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai

Nadeem Sirsivi

MORE BYNadeem Sirsivi

    mere kashkol meñ bas sikka-e-rad hai had hai

    phir bhī ye dil mirā rāzī-ba-madad hai had hai

    ġham to haiñ baḳht ke bāzār meñ maujūd bahut

    kāsa-e-jism meñ dil ek adad hai had hai

    aaj ke daur insān ajab hai yārab

    lab pe tārīf hai siine meñ hasad hai had hai

    thā mirī pusht pe sūraj to ye ehsās huā

    mujh se ūñchā to mire saa.e qad hai had hai

    mustanad mo.atamad-e-dil nahīñ ab koī yahāñ

    mahram-e-rāz bhī mahrūm-e-sanad hai had hai

    maiñ to tasvīr-e-junūñ ban gayā hotā lekin

    mujh ko roke hue bas pās-e-ḳhirad hai had hai

    roz-e-avval meñ har had se guzar baiThā aur

    chīḳhtā rah gayā hamdam mirā had hai had hai

    kab talak ḳhāk-basar bhaTke bhalā bād-e-sabā

    ab to har shāḳh pe phūloñ lahad hai had hai

    rañg-e-iḳhlās bharūñ kaise marāsim meñ 'nadīm'

    us niyyat bhī mirī tarah se bad hai had hai

    mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai

    phir bhi ye dil mera raazi-ba-madad hai had hai

    gham to hain baKHt ke bazar mein maujud bahut

    kasa-e-jism mein dil ek adad hai had hai

    aaj ke daur ka insan ajab hai yarab

    lab pe tarif hai sine mein hasad hai had hai

    tha meri pusht pe suraj to ye ehsas hua

    mujh se uncha to mere sae ka qad hai had hai

    mustanad moatamad-e-dil nahin ab koi yahan

    mahram-e-raaz bhi mahrum-e-sanad hai had hai

    main to taswir-e-junun ban gaya hota lekin

    mujh ko roke hue bas pas-e-KHirad hai had hai

    roz-e-awwal hi mein har had se guzar baiTha aur

    chiKHta rah gaya hamdam mera had hai had hai

    kab talak KHak-basar bhaTke bhala baad-e-saba

    ab to har shaKH pe phulon ki lahad hai had hai

    rang-e-iKHlas bharun kaise marasim mein 'nadim'

    us ki niyyat bhi meri tarah se bad hai had hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now