mere naghmat mein hai ashkon ki aahaT jaise
mere naġhmāt meñ hai ashkoñ kī aahaT jaise
sabza-o-gul meñ ho shabnam kī tarāvaT jaise
be-ḳhayālī meñ kaTe jaate haiñ din-rāt apne
'ālam-e-ḳhvāb meñ badle koī karvaT jaise
zehn gautam kā sahī phir bhī mirā dil ab bhī
ek bālak hai koī krishn sā naTkhaT jaise
kuchh bachā kar na rakhī apne liye ‘umr-e-‘azīz
ab mire jaam meñ hai thoḌī sī talchhaT jaise
ye shab-e-māh ye kohsār ye vaadī ye ghaTā
us ke paikar kī pur-asrār banāvaT jaise
yuuñ mire dil meñ hai ai 'zeb' tamannāoñ kī bhiiḌ
kisī turbat pe hasīnoñ kā ho jamghaT jaise
mere naghmat mein hai ashkon ki aahaT jaise
sabza-o-gul mein ho shabnam ki tarawaT jaise
be-KHayali mein kaTe jate hain din-raat apne
'alam-e-KHwab mein badle koi karwaT jaise
zehn gautam ka sahi phir bhi mera dil ab bhi
ek baalak hai koi krishn sa naTkhaT jaise
kuchh bacha kar na rakhi apne liye ‘umr-e-‘aziz
ab mere jam mein hai thoDi si talchhaT jaise
ye shab-e-mah ye kohsar ye wadi ye ghaTa
us ke paikar ki pur-asrar banawaT jaise
yun mere dil mein hai ai 'zeb' tamannaon ki bhiD
kisi turbat pe hasinon ka ho jamghaT jaise
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 61)
- Author :Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.