mere tamam faisle ai chaaragar na kar
mere tamām faisle ai chārāgar na kar
ye merī zindagī hai ise tū basar na kar
dekhā basā liiñ bastiyāñ maiñ ne jagah jagah
tujh se kahā nahīñ thā mujhe dar-ba-dar na kar
ai manzil-e-gumāñ ke musāfir Thahar zarā
mere ḳhayāl-o-ḳhvāb se bāhar safar na kar
aisā na ho ki terī tarah bolne lagūñ
ai chup mire mizāj par itnā asar na kar
bas iltijā hai ye ki na be-daḳhl kar mujhe
maiñ ne ye kab kahā hai mire dil meñ ghar na kar
achchhā hai iḳhtisār magar dāstāñ-navīs
tū dāstān-e-shauq mirī muḳhtasar na kar
jo shaḳhs ek saañs Thahartā nahīñ kahīñ
kyoñ mujh se kah rahā hai musalsal safar na kar
'āsim' dimāġh ko na mohabbat meñ kar niDhāl
dil kā hai kaam jaan mirī soch kar na kar
mere tamam faisle ai chaaragar na kar
ye meri zindagi hai ise tu basar na kar
dekha basa lin bastiyan main ne jagah jagah
tujh se kaha nahin tha mujhe dar-ba-dar na kar
ai manzil-e-guman ke musafir Thahar zara
mere KHayal-o-KHwab se bahar safar na kar
aisa na ho ki teri tarah bolne lagun
ai chup mere mizaj par itna asar na kar
bas iltija hai ye ki na be-daKHl kar mujhe
main ne ye kab kaha hai mere dil mein ghar na kar
achchha hai iKHtisar magar dastan-nawis
tu dastan-e-shauq meri muKHtasar na kar
jo shaKHs ek sans Thaharta nahin kahin
kyon mujh se kah raha hai musalsal safar na kar
'asim' dimagh ko na mohabbat mein kar niDhaal
dil ka hai kaam jaan meri soch kar na kar
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 154)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.