aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin

Ram Krishn Muztar

mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin

Ram Krishn Muztar

MORE BYRam Krishn Muztar

    mere tasavvurāt meñ ab koī dūsrā nahīñ

    aap ko jāntā huuñ maiñ ġhair se vāstā nahīñ

    dekh ai nigāh-e-dost kyā tujhe dil diyā nahīñ

    kaun hai mujh se āshnā agar āshnā nahīñ

    dil ko sukūn kar atā jaan ko baḳhsh de qarār

    tere karam der hai dard ye lā-davā nahīñ

    jis se na ho mirā guzar rah nahīñ tirī rahguzar

    jis pe na merā sar jhuke vo tirā naqsh-e-pā nahīñ

    chashm-e-karam shukriya pursish-e-ġham se fā.eda

    kyā mirī bebasī haal aap par ā.īna nahīñ

    ek hasīn ahd yaad dilā ke rah ga.ī

    un nazar ne dil se aaj aur to kuchh kahā nahīñ

    kyuuñ na karam ke vāste aap se iltijā karūñ

    aap batā.eñ kyā mujhe aap aasrā nahīñ

    dil meñ hai aks aap lab pe hai naam aap

    aap 'muztar'-e-hazīñ aap ko bhūltā nahīñ

    mere tasawwuraat mein ab koi dusra nahin

    aap ko jaanta hun main ghair se wasta nahin

    dekh tu ai nigah-e-dost kya tujhe dil diya nahin

    kaun hai mujh se aashna tu agar aashna nahin

    dil ko sukun kar ata jaan ko baKHsh de qarar

    tere karam ki der hai dard ye la-dawa nahin

    jis se na ho mera guzar rah nahin teri rahguzar

    jis pe na mera sar jhuke wo tera naqsh-e-pa nahin

    chashm-e-karam ka shukriya pursish-e-gham se faeda

    kya meri bebasi ka haal aap par aaina nahin

    ek hasin ahd ki yaad dila ke rah gai

    un ki nazar ne dil se aaj aur to kuchh kaha nahin

    kyun na karam ke waste aap se iltija karun

    aap bataen kya mujhe aap ka aasra nahin

    dil mein hai aks aap ka lab pe hai nam aap ka

    aap ka 'muztar'-e-hazin aap ko bhulta nahin

    Source:

    Raqs-e-bahar (Pg. 167)

    • Author: Krishna Kumar Muztar
      • Edition: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now