mere zaKHmon ko yun hawa dije
mere zaḳhmoñ ko yuuñ havā diije
ab mirā naam tak bhulā diije
maiñ huuñ bīmār chhoḌ kar mujh ko
ik na.e Dhang se shifā diije
chaar pal saath baiTh jā.ūñ maiñ
phir bhale bazm se uThā diije
maiñ ne barsoñ talak vafā kī hai
aap is kī mujhe sazā diije
'prīt' ye dard to muqaddar hai
kyoñ bhalā us ko bad-du'ā diije
mere zaKHmon ko yun hawa dije
ab mera nam tak bhula dije
main hun bimar chhoD kar mujh ko
ek nae Dhang se shifa dije
chaar pal sath baiTh jaun main
phir bhale bazm se uTha dije
main ne barson talak wafa ki hai
aap is ki mujhe saza dije
'prit' ye dard to muqaddar hai
kyon bhala us ko bad-du'a dije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.